Bismillahirrahmanirrahim

30 December 2015

English:

68. Hadith: Abu Hurairah Radiyallahu 'anhu narrates that Rasullullah ﷺ said: The powerful is not he who knocks down others; undoubtedly the powerful is the one who controls himself in a fit of anger.

Urdu-Eng Transliteration:

68. Hadees: Hazrat Abu Huraira Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaya: Taaqatwar wo nahi jo apne muqabil ko pachhaadh de balke taaqatwar wo hai jo ghusse ki haalat mein apne aap par qaabu paale.

Reference: (Bukhari: 6114)

21 December 2015

English Message:

51. Hadith: Jabir Radiyallahu 'anhu narrates that Rasullullah ﷺ said: Undoubtedly, amongst you the most beloved and nearest to me on the Day of Resurrection, will be those having the most excellent conduct. (Tirmidhi: 2018)

Urdu-Eng Transliteration:

51. Hadees: Hazrat Jabir Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum sab mein se mujhe zyaada mehboob aur Qayamat ke din mere sabse qareeb wo log honge jinke akhlaaq zyaada achchhe honge. (Tirmizi: 2018)

20 December 2015

English Message:

59. Hadith: Anas Radiyallahu 'anhu narrates that none was dearer to the Sahabah than Rasullullah ﷺ , yet when they saw him, they did not stand up, knowing his dislike for this. (Tirmidhi: 2754)

Urdu-Eng Transliteration:

59. Hadees: Hazrat Anas Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Sahaba ke nazdeek koi shakhs bhi Rasool Allah ﷺ se Zyada mehboob nahi tha. Iske bawajood wo Rasool Allah ﷺ ko dekh kar khade nahi hote the kyunke wo jaante the Aap ﷺ isko na pasand farmaate hain. (Tirmizi: 2754)

14 December 2015

English Message:

Allah Subhanahu wa Ta'ala says (Translation): Those who spend their wealth (in Allah's Cause) by night and day, in secret and open, verily their reward is with their Rabb, and there shall be no fear to come upon them neither shall they grieve.

Urdu-Eng Transliteration

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjuma): Jo log apna maal Allah ki raah mein kharch karte hain raat ko aur din ko chhupakar aur zaahir mein, inhi keliye apne Rabb ke haan sawab hai aur in par na koi darr hai aur na wo ghamgeen honge.

Reference: (Qur'an Al Baqarah: 274)

10 December 2015

English Translation:

341. Hadith: Abdullah ibn 'Abbas Radiyallahu 'anhuma narrates that Nabi ﷺ said: Do not quarrel with your brother, nor joke with him (in a manner which will hurt him), and do not make a promise to him which you do not honour. (Tirmidhi: 1995)

Urdu-English Transliteration:

341. Hadees: Hazrat Ibn Abbas Raziyallahu 'anhuma se riwayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Apne bhai se jhagda na karo aur na usse aisa mazaaq karo (jisse usko takleef pahunche) aur na aisa waada karo jisko poora na karsako. (Tirmizi: 1995)